My favourite lines.....
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hain
Ki zindagi teri zulfon ki narm chhaon main guzarne pati
to shadab ho bhi sakti thi.
Yeh ranj-o-gham ki siyahi jo dil pe chhayi hain
Teri nazar ki shuaon main kho bhi sakti thi.
Magar yeh ho na saka aur ab ye aalam hain
Ki tu nahin, tera gham teri justjoo bhi nahin.
Guzar rahi hain kuchh iss tarah zindagi jaise,
isse kisi ke sahare ki aarzoo bhi nahin.
Na koi raah, na manzil, na roshni ka suraag
Bhatak rahin hai andheron main zindagi meri.
Inhi andheron main reh jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoon meri hum-nafas, magar yoonhi
Kabhi kabhi mere dil main khayal aata hai.
by Sahir Ludhianavi
For lesser mortals like me
Shadab=fresh,delightful
Ranj=distress,grief
Justjoo=desire
Hum-nafas=companion,friend
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
6 comments:
kya hai ye...........................
sach mein kya hai yeh??
plzz "khoya khoya chand" ka bhi daal do... :D
u better put the disclaimer:
the lyrics of the song does not reflect my mood
u seriously are damn restless and trying to hard.
Just sink in for the moment
arz hai.....
"hazaaron khwahishein aisi ki har khwahish pe dam nikle , bahut nikle mere armaan lekin fir bhi kam nikle.....mohabbat main nahin hai fark jeene aur marne ka usi ko dekh kar jeete hain jis kaafir sanam pe dum nikle....."...vaah vaah(courtesy....mirza ghalib)
Post a Comment